Friday, July 17, 2009

Yeh Dooriyan - Lyrics

Yeh dooriyan
Yeh dooriyan
Yeh dooriyan

In raahon ki dooriyan
Nigahon ki dooriyan
Hum rahon ki dooriyan
Fanah ho sabhi dooriyan

Kyun koi paas hai
Door hai Kyun koi
Jaane Na koi yahan pe


Aa Raha paas ya door mein ja raha
Janu na mein hoon kahan pe

Yeh dooriyan

In raahon ki dooriyan
Nigahon ki dooriyan
Hum rahon ki dooriyan
Fanah ho sabhi dooriyan

Yeh dooriyan
Yeh dooriyan

Kabhi hua yeh bhi
Khali Rahon pe bhi
Tu tha mere saath

Kabhi tujhe milke lauta
mera dil yeh khali khali haath
Yeh bhi hua kabhi
Jaise hua Aabhi
Tujhko sabhi mein paa li
Tera mujhe kar jaati hain dooriyan
Satati hain dooriyan
Tarsati hain dooriyan
Fanah ho sabhi dooriyan

Kaha bhi na mene
Nahi jeena mene
Tu jo na mila

Tujhe bhule se bhi na
Bola na mene chahun fasla

Bas fasla rahein
Ban ke kasak jo kahen
Ho aur chahat yeh aur jawan

Teri meri mit jaani hai dooriyan
Begani hai dooriyan

Hat jani dooriyan
Fanah ho sabhi dooriyan

Kyun koi paas hai
Door hai Kyun
koi

Jaane Na koi yahan pe

Aa Raha paas ya door mein ja raha
Janu na mein hoon kahan pe

Yeh dooriyan

In raahon ki dooriyan
Nigahon ki dooriyan
Hum rahon ki dooriyan
Fanah ho sabhi dooriyan

Saturday, July 11, 2009

Tune Jo Na Kaha - New York... Best Song of the Year

Tune jo na kaha main wo sunta raha
khaamkha bewajah khwaab bunta raha
tune jo na kaha main wo sunta raha
khaamkha bewajah khwaab bunta raha

jaane kis ki hamein lag gayi hai nazar
is shehar mein na apna thikana raha
door chaahat se main apni chalta raha
khaamkha bewajah khwaab bunta raha

Dard wo pehle se hai zyaada khud se phir ye kiya vaada
khamosh nazrein rahe be zubaan
baaton mein pehle si baatein hai bolo to lab thartharate hai
raaz ye dil ka na ho bayaan
ho gaya ke asar koi hum pe nahi
hum safar mein to hai humsafar hai nahi
door jaata raha paas aata raha
khaamkha bewajah khwaab bunta raha

aaya wo phir nazar aise baat chidne lagi phir se
aankho mein chubhta kal ka dhuan
haal tera na hum sa hai kis khushi mein
kyun ghum sa hi basne laga kyun
phir wo jahan
wo jahan door jisse gaye the nikal
phir se yaadon ne kar di hai jaise pehal
lamha beeta hua dil dhukhaata raha
khaamkha bewajah khwaab bunta raha

tune jo na kaha main wo sunta raha
khaamkha bewajah khwaab bunta raha
jaane kis ki humein lag gayi hai nazar
is shehar mein na apna thikana raha
door chaahat se main apni chalta raha
bujh gayi aag thi daag jalta raha


Sung By - Mohit Chauhan

New York - Most Probably the Year's best

Watched New York today and think it is a job well done. Katrina Kaif is really looking very beautiful both as a college student and as a Wife. She has delivered some scenes really convincingly. Neil Nitin Mukesh is as always good. And John plays just right to be the anti-hero.

Songs are really good especially Junoon by K. K. and Tune Jo Na Kaha. I can safely say Tune Jo Na Kaha is on the top of my fav list at this point.

Its almost 2 hours now that I have finished watching the movie but the effect is still there. Really loved this movie. 3 cheers for Yash Raj and Kabir Khan for such a good job.

Thursday, June 25, 2009

Radio City Crash


Hi I got this good looking ASP.NET error screen when I choose New Delhi at www.radiocity.in.
Looks they missed a trick there.

Thursday, June 4, 2009

Khaamoshi achchi nahi

Khaamoshi achchi nahi inkaar hona chaahiyay
Yeh tamaasha ab sar-e-bazaar hona chaahiyay

Khaab ki ta'beer per israar hay jinko abhi
Pehlay unko khaab say baidaar hona chaahiyay

Ab wohi karnay lagay deedaar say aagay ki baat
Jo kabhi kahtay thay bus deedaar hona chaahiyay

Baat poori hay, adhoori chaahiyay a'e jaan-e-jaan
Kaam aasaan hay isay dushwaar hona chaahiyay

Dosti kay naam per kijiyay na kyun kar dushmani
Kuch na kuch aakHir tariq-e-kaar hona chaahiyay

Jhoot bola hay to kaayam bhi raho us per Zafar
Aadami ko saahib-e-kirdaar hona chaahiyay

Tuesday, June 2, 2009

Main Kudha Rehta hoon

Main aapnay gussay pe fida rehta hoon
Main zamaanay se khafa rehta hoon
Mujhse milna hai toh tanhai mein mil
Main akele mein kudha rehta hoon

Koi Baat Nahi

Yeh wafa ka silaa hai toh koi baat
Yeh dard tumnay diya hai to koi baat nahi

Yehi bahut hai ki tum dekhaty ho sahil se
Safina doob raha hai to koi baat nahi

Rakha tha aashiyana-e-dil main chhupa ke tumko
Woh ghar tumne chhod diya hai to koi baat nahi

Tum hi ne aayeena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi

Kiski majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi