Thursday, June 25, 2009
Radio City Crash
Hi I got this good looking ASP.NET error screen when I choose New Delhi at www.radiocity.in.
Looks they missed a trick there.
Thursday, June 4, 2009
Khaamoshi achchi nahi
Khaamoshi achchi nahi inkaar hona chaahiyay
Yeh tamaasha ab sar-e-bazaar hona chaahiyay
Khaab ki ta'beer per israar hay jinko abhi
Pehlay unko khaab say baidaar hona chaahiyay
Ab wohi karnay lagay deedaar say aagay ki baat
Jo kabhi kahtay thay bus deedaar hona chaahiyay
Baat poori hay, adhoori chaahiyay a'e jaan-e-jaan
Kaam aasaan hay isay dushwaar hona chaahiyay
Dosti kay naam per kijiyay na kyun kar dushmani
Kuch na kuch aakHir tariq-e-kaar hona chaahiyay
Jhoot bola hay to kaayam bhi raho us per Zafar
Aadami ko saahib-e-kirdaar hona chaahiyay

Tuesday, June 2, 2009
Main Kudha Rehta hoon
Main aapnay gussay pe fida rehta hoon
Main zamaanay se khafa rehta hoon
Mujhse milna hai toh tanhai mein mil
Main akele mein kudha rehta hoon
Main zamaanay se khafa rehta hoon
Mujhse milna hai toh tanhai mein mil
Main akele mein kudha rehta hoon
Koi Baat Nahi
Yeh wafa ka silaa hai toh koi baat
Yeh dard tumnay diya hai to koi baat nahi
Yehi bahut hai ki tum dekhaty ho sahil se
Safina doob raha hai to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main chhupa ke tumko
Woh ghar tumne chhod diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayeena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi
Kiski majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

Subscribe to:
Posts (Atom)