Tune jo na kaha main wo sunta raha
khaamkha bewajah khwaab bunta raha
tune jo na kaha main wo sunta raha
khaamkha bewajah khwaab bunta raha
jaane kis ki hamein lag gayi hai nazar
is shehar mein na apna thikana raha
door chaahat se main apni chalta raha
khaamkha bewajah khwaab bunta raha
Dard wo pehle se hai zyaada khud se phir ye kiya vaada
khamosh nazrein rahe be zubaan
baaton mein pehle si baatein hai bolo to lab thartharate hai
raaz ye dil ka na ho bayaan
ho gaya ke asar koi hum pe nahi
hum safar mein to hai humsafar hai nahi
door jaata raha paas aata raha
khaamkha bewajah khwaab bunta raha
aaya wo phir nazar aise baat chidne lagi phir se
aankho mein chubhta kal ka dhuan
haal tera na hum sa hai kis khushi mein
kyun ghum sa hi basne laga kyun
phir wo jahan
wo jahan door jisse gaye the nikal
phir se yaadon ne kar di hai jaise pehal
lamha beeta hua dil dhukhaata raha
khaamkha bewajah khwaab bunta raha
tune jo na kaha main wo sunta raha
khaamkha bewajah khwaab bunta raha
jaane kis ki humein lag gayi hai nazar
is shehar mein na apna thikana raha
door chaahat se main apni chalta raha
bujh gayi aag thi daag jalta raha
Sung By - Mohit Chauhan
No comments:
Post a Comment