Tuesday, May 12, 2009

Masoom mohabat ka itna sa fasana hai

Masoom mohabat ka itna sa fasana hai
Kagaz ki haveli hai barish ka zamana hai

Kya shart-e-mohabat hai, kya shart-e-zamana hai
Awaaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gana hai

Us par utarne ki umeed bahut kum hai
Kashti bhi purani hai tofaan ko bhi aana hai

Woh samjhe ya na samjhe andaaz mohabaat ke
Ek shaks ko aankhon se ek sher sunana hai

Bholi si ada koi phir ishq ki had pur hai
Phir aag ka daria hai, phir doob ke jana hai

No comments: